Hijama / Cupping Therapy ke baad Itching hone ke kai wajah ho sakte hain,
1. Hijama ki gayi jagah par swelling aur cut ki wajah se irritation hoti hai. Naye tissue cut ki jagah ko repair karne ke liye bante hain, blood vessels dobara bante hain, aur scar tissue develop hota hai. Yeh healing process, tissu ki murammat aur remodeling karta hai. cells regeneration aur body ke natural healing response mein khujli paida ho sakta hai.
2. Hijama/ Cupping histamines chemical ko release karne me trigger karti hai, jo khujli ki wjaha ho sakti hain.
3. Itching ki wajah pasina aur gande kapde ho sakte hain. Hijama ke baad dhule hue cotton ke kapde pahanne chahiye.
4. Itching ki wajah, Hijama mein istemal ki gayi suction, kabhi-kabhi halki dry skin ya skin me hone Waley changes ki wajah se ho sakti hai.
5. Kuch maumalon mein, hijama ke dauran istemal hone wale cups, tel ya lotion wagaira ki wajah se allergic reaction ho sakte hain, jo khujli ki wajah ho sakti hai."
6. liver disease, kidney disease, anemia, diabetes, thyroid disease, OCD, depression, Vitamins aur iron ki kami waley patient ko itching ka ehsaas healthy person ke muqable zyada ho sakta hai.
✍️ Dr. Saif Ali Sultan
Managing Director & Microbiologist
Health Screen Pvt Ltd